Jab maine tumhe pehli baar dekha
Tum beech chaurahe main
Rickshaw mai thi
Tum apne baalon se aur duppate se ladh rahi thi
Maano ki hawa tumhari dushman thi
Kalkatte (Kolkata) ki us sardi ki dophar main
Main toh kisi aur taraf jaa raha tha
Main jis gaadi mai tha
Woh tezi se dusri taraf chali gayi
Tum – tum shayad wahi reh gayi
Hawa aur kalkatte ki dophar mai…
