Main zindagi is kashma-kash main to kaafi waqt se raha. Shayad kuch aur cheez mai masroofiyat hoti toh behtar hota.
Har raat hum kashma-kash mai hote hai aur raat guzar jaati hai, ek raat aisi aaegi ki raat kashmakash main hogi aur hum guzar jaenge.
– unknown
Zindagi ke kuch pichle 10 saal bade ajeeb guzre. Yun kaho ki main bada ho chala tha, school nipat gaya tha aur ab sar par zimmedariyan thi. Zindagi ne bhi mushkile mukarar/muqarrar kar di thi – par main bhi aage badhta chala gaya – woh waqt hi aisa hota hai, aap girna nahi chahte par zindagi aapse bhi zyada badi dheet cheez hai – jisne aazmaya woh haara. Aur sabki haar ek jaisi nahi hoti – koi kisi tarah haarta hai toh koi kisi aur tarah. Shayad isi main koi khoobsurti chuphi ho?
Ye khayalat aaj achanak kaise? Kareeb 2 saal baad aaj mujhe thoda khali baithne ka waqt mila. Thoda sa darr bhi laga kyunki shor ki aur bhaagne ki itni aadat hogayi thi ki thehrav ajeeb sa lagta hai. Ye thehrav ab ajnabi hai aur isse taaruf khatam ho chala hai. Behraal – khaali baithe toh likhne ka mann hua, likhna waise bahut hota hai kaam ke hisaab se par khud ke liye ab bilkul na ke barabar.
Socha apne ink pen mai syahi bharu aur fhir se diary mai kuch likhun lekin fhir khud se kaha kisi aur din. Toh bas apna laptop liya aur likhna shru kardiya. Kareeb 6 mahine baad yahan kuch likha raha hun aur andaza hai ki ye shayad bahut logo tak nahi pahuchega.
Aur haan hamesha ki tarah khud se dobara wada ki ab zyada likhunga agar har roz na sahi.