Guzra hua ek din

Main school mai tha us samay, bachpan se hi mujhe din mai kuch waqt akele baithna pasand tha aur aksar dophar mai class ke baad mai akele baitha karta tha.

Hostel ke un dino main, ghar ki kaafi yaad aati thi, jaise dophar ko kabhi sogaya toh ghar ki yaad mai baaki din beet jaya karta tha. Ek class ki khidki se road ki side dikhta tha, us class ko hum Doon class kehte the. Waha aksar kuch bache khelte the, gaadiyan aati thi aur chali jaati. Main bas waha akela khidki ki taraf baith kar dekha karta tha.

Ab woh din chale gaye hai lekin tab lagta tha ki kab niklunga yaha se aur kab jaunga bahar. Pata nahi aaj kyun achanak mujhe woh din yaad aaya aur woh mere akele baith kar sochne ki adat bhi.

 

 

7 thoughts on “Guzra hua ek din”

      1. lol no, they’re just too workaholic and I stare at their motivation as they work till after 6 in the evening… I end up thinking at the end of the day that they probably don’t have a life…

        Like

Go ahead! Type